Tuesday, March 08, 2011

Juwa! - Dr. Jamal ki Kahani

Dr. Jamal ne mujeh chothi jamat (4th grade) main tuition parhaya. Hamare hi mohalle main rehte the. Shuru se hi aik raub-o-dabdabe wali shakhsiyat thi unki. Jub un ka 'medical school' main dakhila huwa to unke walid ne bari mithayian taqseem ki. Hum subah school ke liye nikalte to Dr. Jamal aik garoor se khare hoke apni medical school ki bus ka intazar kiya kerte. Poore mohalle ko aehsas dilate ke ab woh 'dactar' banne ja rahe hain. Aur jis din woh 'dactar' bane - unke abba ne pehle se barh ke mithai banti. KhusroN ka khub raqs huwa, kaale baqron ka sadqa bata aur langar taqssem huwa. Unho ne civil hospital main 'house job' shuru ki. Saare mohalle ka muft ilaj kerte. Phir 'surgery ward' main RMO (Registered Medical Officer) ho gaye. Main ne kai logoN ki muft 'sargeriyaN' kerwai..Unki 'personality' main aik naya dabdaba aa gaya tha. Mujhe unka takkabur kubhi bura na laga bulke un pe piyar aata tha. Woh mujhe daantte to main hans deta. Zindagi ka phaiyya yunhi chalta raha. Main khud 'medical school' paunch gaya aur Allah hi janta hai haste khelte woh din bhi aa gaya jub MBBS ki degree hatoN main saj gai. Main America aane laga to mujeh bohat mana kerte rahe magar meri la-ubali tabiyat ko ghar wale na baandh sake, Dr. Jamal kiya rokte!

Jub kubhi Pakistan jata Dr. Jamal se mulaqat hoti. Unki practice khub chalti thi. Mujhe apni gaari driver de dete. Khub piyar se rakhte. Har sham kisi fancy restaurant main khana khilate.... Aur phir main ne Pakistan jana band ker diya. Dr. Jamal se bhi mulaqataiN khatam hui. Barson beet gaye.

Ye zindagi saali bari kutti cheez hai!

November 2008 ki sardiaN thiN. Main Toronto main kisi 'medical conference' main gaya huwa tha ke mere cell phone pe Dr. Jamal ka phone aaya. Keh rahe the bohat pareshan hun. Pakistan se raat-o-raat farar huwa hun, California main huN aur foran 2000 dollar ki zaroorat hai. Main ne intazam kerwa diya. Wapas paunch ke unse guftagu hui to Pata laga - 3 baras pehle unhe Juwa kehlne ka 'addiction' lag giya! (Ji! Pakistan ki elite society main sab kuch hota hai). Kehne lage harami juwarioN ne pehle khud jeetwa jeetwa ke ye marz barhaya aur jub adat pakki ho gayi to sab kuch loot liya! ye halaat huwe ke lakhon nahi, 2 karor rupe ke maqrooz ho gaye! Qarz-khuwaoN ne dhamkiaN dena shuru ki ke tumhari betioN ko utha ke le jaayaiN ge to biwi bachhoN ko kisi rishtedar ke ghar chupaya aur USA aa gaye...

Mujh se jo ban saka main ne kiya! Main ne unse khub muft kam kerwaaye the. Mera purana qarz tha! yahi soch ke main ne kisi desi clinic pe job kerwa di. H-1 visa ho gaya. Biwi bacche bhi America aa gaye. Unki begum ne koi odd job shuru ker di. BetiaN bhi yahan school main set ho gaiN. Jub aakhri dafa main Dr. Jamal se mila to unhoN ne kaha: "Allah ke fazal se jo khoya us se behtar halat hone lage hain!" Main ne kaha: "Sir! bus ab aahista aahista Pakistan main logoN ka qarz utar phenkiye. Aap ke liye residency to mumkin nahi magar part time surgical assistant ka course ker lijye. Inshallah Allah khair kare ga".....I thought this story had a happy ending.

Pechle hafte mujhe Dr. Jamal ka phone aaya ke: "I need 3000 dollars urgent!". Mera matha thanka. Main ne unki begum ko phone kiya to woh bilak bilak ke rone lagiN. UnhoN ne bataya - jese hi halat thore theek huwe hain - Dr. Jamal ne yahan casino ke chakkar kaatne shuru ker diye hain!  Main chup raha. Mere voicemail pe Dr. Jamal ke kai messages hain!

Qudrat kub baar baar moqa deti hai?

3 comments:

beyond said...

thats very sad.is it a true incident?
btw why did you stop going to pakistan?

bsc said...

I could easily predict that Dr Jamal would do the same when dollar starts getting in his hand. That unfortunately is the way every addict behaves, no matter how good otherwise he may be.
I did some Psychiatry before taking up neurology and I feel that every internist should have some 6 to 12 months spent in psychiatry during training. I think you probably suspected the same but did not advise him to seek help (for addiction) when you helped him to get settled in the West

mystic said...

Dear Uncle: I never predicted that he will do this again. I thought he learned his lesson but I guess you are right. There s a reason we need shrinks all the time!!

Beyond: This is 100% true incident without any mubalga. As far as going to Pakistan - Its just that life has become crazy (Mi Vida Loca) as well as all my loved ones moved here.