Sunday, March 20, 2011

Aik aur Khawab - and Fortune Cookie

So I guess I didn't learned my lesson from previous incident ( last post) as I was suppose to and continued my sinful journey.

Jub parson shaam main apni 'resha-dewanioN' ke baad ghar wapas aaya to aik taraf khud pe ghin aa rahi thi ke - 'Babu ye kiya kaam kiya?' - to dusri taraf neend ka zahan pe poori tarah galba tha. Khawab main kiya dekhta hun ke - main pahari ilaqon main gaari dora raha hun - aur phir aik charhaii pe aake meri gaari phans jaati hai. Main poora zor lagata hun ke gaari aage barhe magar siwaye engine ki awaz ke kuch nahi hota - aur phir aik dum ghup andhera cha jaata hai - na koi awaz na kuch - bus qabar ki gharioN se ameeq khamosh andhera. Aesi khamoshi jis main sab kuch tham giya ho. Na to gaari ulatti hai aur na kuch sujhai deta hai - bus aik kaali raat se ziyada kaala andhera. Main kehta hun "Oh, God!" aur haat aage barha ke gaari ke ignition ko tatol ke chabi ghumata hun. Gaari chal parhti hai aur andhera gaaib ho jaata hai!

Us andhere ki dhashat is qadar thi ke main aadhi raat ko uth betha.

Subah uth ke apne Allah se phir muaafi maangi. Dil ko qarar tha ke - Rab bara karim hai. Socha bus ab 'van-vaas' lo aur chale chalo.

In the evening I went to a Chinese restaurant- and let me tell you I have superstition of believing in fortune cookies. Strangely after food they didn't bring my fortune cookie which I always look for. I asked for it. Waitress smiled and brought my fortune cookie. It said: "Don't forget, you are always on our minds"!

Jub tuk poori tarah toba na ker lun ye saale mere Munkir Nakir meri jaan nahi chorain ge!

No comments: