Thursday, March 17, 2011

Woh 2 Khawab

(A true incident from my life when one fine morning we exchanged our dreams. It took a while for me to connect the dots - and without any exaggeration).

Tum mujh se aksar poochti ho na ke: "kiya yeh sach hai ke insaanoN ko sachhe khawab aate hain?"

Tumhe yaad hai us raat tum aur main akele the. Hame koi nahi dekh raha tha siwaye hamare apne rab ke. Main azal ka - zaat ka - kamina kambakht mara - tumhare saath hum-bistar hona chahta tha. Tumhare dil main bhi shewani (lustful) khawishoN ka aik samandar thaaiN thaaiN maar raha tha. Hum dono ko rokne wala koi nahi tha magar tum ne apne Allah ko yaad kiya aur mujhe dusre kamre main bhej diya. Kiya us raat tumhe ye khawab nahi aaya tha ke tum Hajj ki saadat ko ja rahi ho aur apna hijab dhundh rahi ho? Tumhare amal ka tumhare Allah ki taraf se ye jawab tha. Tum ne khud ko zina se roka aur apne Allah ke hadood ki paasdari ki to us ne ghar bethe Calgary ki sard raatoN main tumhe Hajj ke sawab ata ker diya!

Mera rab bara karim hai - woh apne bande ka koi amal jane nahi deta.
 
Aur usi raat yaad hai tumhe mera khawab!
 
"Main aik lambi kaali motor main sawar ho ker kisi taqreeb main paunchta hun. Wahan meri gaari ka darwaza khol ker mujeh nokar chakar 'red carpet welcome' dete hain (that red carpet is shaped like human vagina!). Magar mere dil main aik ajeeb khauf hai. Andar paunch ke pata lagta hai ke ye meri hi aakhri rasoomat ki taqreeb hai" - Is khawab se meri aankh khul gai thi. Ye mere Allah ki mujeh meri niyyat ki tambeeh thi magar mujh na-aqal main kub itni samjh thi ke ye sab samjh pata.
 
Tumhari duaoN mai bara asar hoga. Ab jub tum namaz ke liye betho to meri bhi magfirat maang lena!

7 comments:

Rida said...

hum usay bhool jatay hain per wo har lamha hamari khabar geeri karta hay....wo itna raheem o kareem hay k insaan ko foran saza nahi deta pehlay tambeh karta hay....or jo hadayat k rastay pr ho uski hosla afzai karta hay.

mystic said...

Rida - darati ho?

Anonymous said...

I know. Its scary as hell.
A.

mystic said...

A: This personal experience was not really scary but once again it made me believe in divine power!!!

Andheri raat hai, saya to ho nahi sakta
Ye kaun hai? jo mere saath saath rehta hai

Rida said...

@ mystic...jana to usi k paas hay na....koi rah e faraar nahi.....darna to paray ga.....WO TO AISA HAY JO MUJHE GALTIYAAN KARTAY DEKHTA RAHA PER MUJHE RUSWA NA KIYA.

BOHAT PYAARA SHAIR HAY

bsc said...

It is great discussion mashallah. I am impressed by Rida Comments. It is true that so any of our wrong doings are kept 'hidden' without Ruswaai and it has to be His unmeaurable Rahmat/Grace as well as His Hikmat.
At my age or even when I was younger many a times when I was accorded a degree of respect amongst others it humbled me as it stll does. BUT that is His rahmat also that you all and of course myself included have this ihsaas.

Anonymous said...

Mystic Bhai

This is Nasir Kazmi sher and it is chalta hai not rehta hai

Andheri raat hai saya to ho nahi sakta
Ye kaun hai jo mere saath saath chalta hai