Main mere Baba ki jaan thi - jise log "Daddy's Girl" kehte hain. Meri umar 6 baras thi. Mera School ke "Class 1" ka pehla din tha - jub mere Baba ko heart attack huwa. Baba Bombay ki lilawati hospital ke ICU main the. Heart attack itna shadeed tha ke doctors ne saaf keh diya mere Baba nahi bacheN ge. Mere Chacha, hum dono bhai bahen ko jaldi jaldi tayyar ker ke hospital le gaye. Yun to bachhoN ko ICU main jaane ki ijazat nahi thi magar doctors kehte the Baba ki aaj aakhri raat hai. Hum dono ko Baba ke bistar ke paas jaane ki ijazat mil gai...
Main choti si bachhi thi. Pata nahi chal raha tha kiya ho raha hai. Bus itna maalum tha Baba marne wale hain. Mama kehti thi log marte nahi hain bus ooper chale jaate hain! main ne apni choti choti unglion se Baba ka haat thama to mujhe aesa laga mere Baba ne aankhain kholi ho aur mujhe mehsoos kiya ho - aur phir hum ko ICU se bahir le gaye.
Magar woh raat Baba ki aakhri raat nahi thi. Baba theek hone lage aur sahetyaab hoke ghar aa gaye. Aik din unhon ne meri Mama ko bataya: "Jub meri beti ki unglian mujeh mere haaton pe mehsoos hui to main ne apne Khuda se sirf ye dua maangi - ke aye Khuda - ye bacchi mere bagair nahi ji paaye gi. Mujeh sirf das baras aur de de ke ye zara samjhdar ho jaaye..Lagta hai Khuda ne meri sun li"
Tum jaante ho theek 10 baras baad jub meri college ke first year ka pehla din tha - mere Baba neend se baidar nahi huwe. Woh intiqal ker gaye.
No comments:
Post a Comment