Thursday, December 08, 2011

Matti Pao!

Is blog pe main ne apne aik dost Barkatullah ka zikar kiya tha (here). 'Positive Attitude' rakhne wale aese log zindagi main bohat kum milte haiN. Barkatullah se main ne zindagi main do (2) 'Magical Words' sikhe! aur woh mujeh zindagi main bohat kaam aaye.


Jub kabhi mohalle main hamara kisi se jhagra ho jaata, hum Cricket ka koi match haar jaate, koi nuqsan ho jaata, koi picnic kharab ho jaati, koi dost dhoka de jaata....Aur jub hum sab dost beth ker - uska afsos kerna shuru kerte - ya gussa utarna shuru kerte ...to Barkatullah apni patloon jharta huwa khara hota aur kehta "Matti Pao" - aur phir kehta "chalo chai piyaiN" ya "chalo film dekhaiN" ya "chalo clifton chalaiN" ya "chalo nihari khate haiN" .....aur hum sab bhi "Haan Haan Matti Pao" keh ker saath chal parte - aur sab kuch bhool jaate!


Zindagi main aksar aese mauqe aaye.....jab main 'frustrate' huwa, jab main udas huwa, pareshan huwa, gussa ayya, nuqsan huwa, koi anhoni ya napasandeedah  baat ho gai...Main dil main kehta hun - "Matti Pao" - aur moveon ho jaata hun...


Bachpan ki kai baatain zindagi bhar saath nahi chortiN

4 comments:

Anonymous said...

These two words are important but what is more important is to give the person a benifit of doubt when/ if someone frustrates you... specially if you know them for a while!

mystic-soul said...

Sahi

bsc said...

Typical Panjabi words and perhaps more common and more suited to 'panjabi culture' generally Since I was exposed to Panjabi culture after ten years of age that is my feeling about these words

mystic-soul said...

Bikul this is from Panjab - but I always loved it....