Friday, December 16, 2011

Aik kamra - Aur us main ruka waqt!

(There is no exaggeration in following post. Everything is written as found)

Is kamre main lagta hai waqt 'March 2003' pe  aa ker tham gaya hai.
Peechle aath (8) baras main is kamre main kuch nahi badla!

Bister pe rakhe khubsurat 'pillows' ki teh der teh......Bister kinare  'carousel horse' ka woh lamp......Study table pe khuli woh note book. Us note book pe woh pencil aath (8) baras se yunhi pari hai.......Woh compUSA ka kids computer....Bookshelf main khubsurti se saji woh kahanioN ki kitabain........Deewar pe laga woh marker board, jis pe peechle aath (8) baras se us bachhi ke likhe alfaz - "Dance is my life" aaj bhi yunhi tehreer hai....Bathroom main pare woh 'towels'......Sink pe woh 'princess' ka tooth brush.......Calendar pe "March 2003" ka mahina.....

Is kamre main ghari ki sui ruk si gai hai.

Dr. Farhat ki biwi aath (8) baras pehle ghar chor ker chali gai. Jaate jaate beti ko bhi le gai. Us din se Dr. Farhat ke - darkhton (woods) main ghire  - is million dollar mension - ke is kamre main kuch nahi badla. 'Maid' ko sakht hidayat hai ke - safaii zaroor ho - magar koi cheez jagah se na hile.

Is kamre ko main ne pehle bhi dekha hai magar ab ke baras to - mujeh is kamre se khauf aane laga hai jis main yaadoN ke kai bhoot pareet band ho gaye hain!!

5 comments:

bsc said...

واقعی خوف آتا ہے
افسوس بھی ہوتا ہےمنہ بولتی تصویر ہے کہ پیسہ ہی سبکچھ نہیں ہوتا

mystic-soul said...

zindagi har kisi ko koi na koi ghao de jaati hai

Anonymous said...

Dr. Farhat ki biwi aath (8) baras pehle ghar chor ker chali gai.

WHY? How? what happend!

mystic-soul said...

Anonymous: That needs a full post..so hopefully someday!

Aly said...

Kia aj bhi woh kamra waisa hi hai?