Thursday, March 29, 2012

Suzanne aur Sureh Naas!

Ye in dino ki baat hai jub main Chicago main tha. Mere hi floor pe aik larki Suzanne raha kerti thi. Uski umar koi 27/28 baras rahi hogi. Meri bhi yahi umar thi. Gore rang ka taqaza tha! is liye meri usse dosti zaroori thi! Suzanne khud ko 'born again christian' kehti thi. Mujeh is baat se koi garaz nahi thi ke woh kiya kehti hai - Mera to sirf aik hi maqsad tha ke: "Ven a mi cama!" 


Chicago ki aik barfani raat thi. Suzanne mere apartment main thi. Woh mujh se koi kitab lene aayi thi aur phir hum batain kerne lage. Main ne aahista aahista us se 'intimate' hone ki koshish shuru ki! Suzanne ko mere iradoN ka pata tha aur kai baar woh mujeh dabe lafzon main manah ker chuki thi, magar main bhi iradoN ka pakka tha! 


Mera apartment kiya tha bus aik studio tha. Hum bed pe bethe the. Room ki light off thi. Kitchen ki light ki halki si roshni thi. Khirki se khubsurat 'snow' chandni main damak rahi thi. Shayed romanvi mahol ka asar tha ke Suzanne kuch kuch bahekne lagi. Us ne mujh se kaha: "I think, its time to say Sureh Naas!" 


Suzanne ki zaban se 'Sureh Naaas' ke alfaz sun ker mujeh jese 'electric shock' laga. Main ne us se poocha: "How you know about Sureh Naas?" Woh zor zor se hasne lagi. Usne mujhe bataya ke jab us ne University of Chicago main research shuru ki to us ka pehla preceptor muslman tha! aur us ne kaha tha ke jab koi tumhe behkaye to Sureh Naas ka ye angrezi tarjumah dil main parh lo..... 


Magar main kahaN rukne wala tha. Suzanne ne Sureh Naas ka dil main wird kiya ya nahi magar woh ab poori tarah bahek chuki thi aur woh meri bahoN main mom ho chuki thi. 


Magar is se pehle ke main kuch shuru kerne ki koshish kerta, darwaze pe ahat si hui! Meri aik rishte ki khala Chicago main rehti thiN. Amma ki hidayat ke mutabiq unke paas mere apartment ki duplicate key rehti thi ke woh aa ker safaii ker detiN, khana paka jaatiN. Us din woh bagair bataye tapak pari, ya phir shayed main ne knock ka jawab nahi diya to woh andar aa gain. Saath unke bachhe bhi the. Suzanne ko dekh ker unho ne kuch kaha to nahi magar sab surate-haal bhaanp gaye. ......Suzanne chali gai..... 


Dusre din Suzanne mujhe elevator main mili to kehne lagi: "I guess Sureh naas perfectly works"! - 
Kambakht maari mujh se ziyada muslman nikli!!

5 comments:

Beyond said...

No,I do beilieve that your faith works.and I am happy that you were saved from an indecent incident;)

mystic-soul said...

Some indecent incidents may not be bad to have! (its a joke)

Beyond said...

Teeheehee

Shabeeh Kazmi said...

itna perfect beleif hona ka bad apka musalman kahna acha nahen lagta haan yh zaror bol saktay ho kai musalmanon ka ghar payda howa ho or socho aik Dr hoker ? shayed kuch samajh aajay warna GAdhon pay bhi kitabain ladi jate hain

mystic-soul said...

Sahi kaha Shabeeh bhai...