Saturday, December 15, 2012

On "Sarmad"

Mughal badshah Aurangzeb ne Sarmad (here) ki grdan sirf is liye kaat di - kiunke woh kalma poora nahi parhta tha!  Woh kalme main La ilaha (there is no God) to kehta tha magar illallah (Except God) nahi kehta tha.

Kisi na poocha: 'Kalma poora kiun nahi parhte'?
Jawab diya: 'Abhi nafi ki manzil pe hun, jub asbat ki manzil ko pochunga tab poora kalma parhun ga'. (I am at level of non-existence. Once I exist, I will say full kalma).

Bewaqoof aadmi - sab ki tarah yunhi, jaane bagair, poora kalma parh leta to gardan to na katti!


*BTW: Sarmad means eternal!

No comments: