Thursday, May 23, 2013

Mera 'Handicap' Bhai

"Tum Shadi kiun nahi kerti. Achhi bhali shakal hai tumhari. Parhi likhi bhi ho aur aqal bhi baqi larkion se ziyada hi hai".

"Aaj tumhe main aik kahani sunati hun....

"Main 16 baras ki thi. Mera aik bhai 13 baras ka tha. Mere dono parents 'professionals' the. Aik ideal zindagi thi. Private school jana, har summer main 'vacation' lena aur har eid ya tehwaar ke moqe par dawatoN main jaana. Zindagi main har taraf chen hi chen tha. 

Aur phir aik din mere bhai ko bukhar huwa. Bukhar itna barha ke 'seizure' hone lage. Abbu bhag ke hospital le gaye. Magar Allah jaane kesa 'infection' laga ke theek hi nahi hota tha. Main, ammi aur abbu sara sara din ICU ke waiting room main bethe rehte. Har roz koi buri khabar sunne milti. Har roz aik nai drip barh jaati. 

Aik raat, us ko kisi dawaii ke reaction se 'cardiac arrest' ho gaya. Hum sab hospital bhage. Doctors koi 2 ghante CPR kerte rahe. Us ki 'heart rhythm ' to wapas aa gai magar dimag zaya ho gaya (anoxic encephelopathy). Hospital se nikal ke 'rehab' main raha, phir ghar aa gaya. Ab hum hi uski dekh bhal kerne lage.

Phir 'real estate market crash' hui. Abbu 'lost all his money'. Hum California chor ker Arizona chale gaye. Ammi ne bhai ki dekh bhal ke liye naukri chor di. Hum Beverly Hills ke 'house' se is 2 room ke 'tradewinds apartments' main aa gaye. 'Credits' destroy ho gayi. Main ne jese tese ker ke college finish ki. Naukri shuru ki. Abbu ne kisi 'Gas station' pe job ker li magar purane qarzoN ka bojh bhi saath tha. Kuch hala't theek huwe to ammi ko breast cancer diagnose ho gaya. Abbu ki bhi din raat kaam ker ker ke tabiyat kharab rehne lagi. Un ko diabetes ho gayi.

 ....Ab kisi aadmi se kehti hun ke shadi ke baad, mera bhai saath rahe ga to kehta hai 'nursing home' main daal do. 

Magar jis bhai ke saath main ne bachpan ke din guzare. Jis ke sath long drives aur vacations share ki. Jis ke saath har sham 'Baskin Robbins' ki ice cream khai, aur jis bhai ka hum peechle 12 baras se khayal rakh rahe hain,..... use aik anjaane mard ki khushi ke liye 'nursing home' main daal aayain,..... dil nahi maanta.

....Aaj tum chup ho gaye!... Aaj woh nahi kaho ge, jo roz kehte ho?"

"Kiya?"

"life is a bitch!"

No comments: