Monday, June 30, 2014

On "Caller ID"

2 months ago, I decided to go bare on my home landline features (get rid of all features including caller ID). For a while, I felt like back in 1980s, when home phones were way of life without caller IDs. Where ring of phone in house will turn every head in house with an emotion of curiosity, anticipation and I guess little tachycardia of unknown! (My parents always believed and taught me of picking up phone if we are there).

I realized, how precious is that feeling of unknown expectation, excitement and suspense - and more importantly for human bonding, as people hear you in your voice!

Indeed, technology beyond certain limit is a curse and come with its own price.


Saturday, June 28, 2014

Insaan Aur Gadha

Pakistani film star Kamal ko Pakistan ka Raj Kapoor kaha jaata hai, is liye ke un ki shakal aur andaaz Raj Kapoor  se milta tha - magar Pakistan jese bad-naseeb mulk main ye baat bohat kum logoN ne 'appreciate' ki ke Kamal sahab ne Pakistan main 'art films' banane ke 'risky' tajarbe kiye.

Meri umar shayed 7 baras ho gi, jab unki banaii hui film 'Insaan aur Gadha' release hui. Main ghar pe shikayat na ker dun, is dar se cousins mujeh bhi Sunday ka matinee show dikhane le gaye. Us film ne mujh pe bohat gehra asar chora. (since that film  - Film star Nisho remained my all time crush)

Film aik Gadhe (played by Rangeela) ke gird ghumti hai, jo logon ke zulm se taang aa ker khuda se dua kerta hai ke mujhe insaan bana de. Uski Dua qabool hoti hai. Woh insaan ban jaata hai. Magar insaan ban ker use jo tajarbaat hote hain, woh khuda se phir Dua kerta hai - "ya khuda mujeh phir gadha bana de!"

(Kehte hain, Bhutto sahab is film pe kaafi naraz huwe the - kiun ke aik scene main rangeela sahab bhutto ke andaaz main gadhoN ke jalse se khitab kerte hain)

Mujeh insaanoN ki is duniya  main, kabhi kabhi woh film bohat yaad aati hai

Thursday, June 26, 2014

Aik French kahawat

Kabhi kahin kisi kitab main parha tha ke - France main aik baat kahi jaati hai:

"Duniya main saare masle tab shuru huwe, jab se aurat ne sex ka maza lena shuru kiya" *

Aksar apni thoRi khujate huwe sochta hun - shayed theek hi hai!

* Life's all problems originated since women start enjoying sex

Monday, June 23, 2014

On 'Forbidden Sin'

Today I had an interesting conversation with a friend about "Forbidden Sin". It reminded me of following poem of Fehmida Riyaz (read it loud to feel the actual depth of this poem)


Tuesday, June 17, 2014

A quote

(You may agree or may not! - I do)

“Religion is excellent stuff for keeping common people quiet. Religion is what keeps the poor from murdering the rich.” ― Napoleon


Tuesday, June 03, 2014

Con Artist

(Heard this story while at reading and book discussion of Dr. Mubarak Ali's Taareekh, Thug aur Daacu)

Main to 35 baras aik 'Con Artist' ki biwi rahi - magar khuda na kare kisi ghar main koi 'Con Artist' paida ho.  

Kuch log paida hi 'Con Artist' (Dhoke baaz / thag) hote hain. Ye unki sar-sasht main peenha (embedded in Genes) hota hai. Ye waqt aane pe ma-baap, bhai-bahen ya khud apne biwi bachhon ko bhi dhoka dene se nahi chugte. Inka pata tab chalta hai, jab ye aap ki zindai ka hissa bante hain. Ye jhoot bole bagair, logon ko 'cheat' kiye bagar zinda hi nahi reh sakte. Aik nafsiyati marz hai jo aas paas kai logon ko barbad ker deta hai.

Mere shohar ke paas kai 'shankhti card' aur darjano 'passport' the. Us ne Pakistan, Dubai, aur Europe main kai logoN ko chuna lagaya. Mere Ma-baap ke paas kafi daulat thi. Usne mere ghar waloN se jhoot bol ker mujh se shadi ki. Mere baap ki daulat hatyane ke baad us ne  'investment company' banayi - aur aik ke baad aik, kai logoN ko lootta gaya. Kabhi Dubai main construction ki jaali company banaii. Kabhi apne hi business main aag lagwa ker 'insurance' ko loota. Kabhi 'credit card' ko fraud kiya. Pakistan main aik hi makan 4/5 logon ko bech ker farar ho gaya... Khud apne bhai behno ko loot liya. 2 dafa pakra bhi gaya magar wahan se heart attack ka bahana ker ke hospital gaya aur doctor ka roop dhar ke farar ho gaya.

Woh saari zindagi bhagta raha. Mujeh aur hamare do bachhon se barson  dur raha.  Saalon guzar jaate, koi khabar na aati aur phir dheroN paise le ker namudar hota aur wese hi saari daulat le ker gaib ho jaata. ....Aakhri baar jaate mere saare zewar bulke bachhoN ke paise bhi le gaya. Ajeeb baat ye hai ke use na to bare makan main rehne ka shoq tha, na gaari ka, na kapron ka. Har cheez ko thori der 'enjoy' kerta aur phir chor deta.

Akhir kaar aik accident main maara gaya. Us ki mayyat pe na to koi roya na hi koi been hui. 

Main ne Karachi University se nafsiyaat main 'Masters' kiya tha. Main ne 'pathological liars' ke bare main to parha tha, magar 'pathological con artists' ke baare main nahi. 

Allah jane un ki is 'Mental Thrill' ke peeche kis nafsiyati mehroomi ka haat hota hai.