Monday, September 29, 2014

Makafate-Amal

Ye aik ajeeb kahani hai. Yaqeen se nahi keh sakta - sirf ittifaq hai ya koi bud-dua?

Jab main America naya naya aaya to paise nahi the. Kai 'odd jobs' ki. Aesi hi aik 'odd job' kuch dinoN ke liye aik desi grocery store pe ki. Desi grocery store aik Pakistani mian biwi aur unhi ke rishte ka koi bhanja chalate the. ...

 Woh grocery store ajeeb bai-maani ki dukan thi.......... Logon ko bagair ring kiye, sales tax bachane ke liye, cheezain bechna.....logon se udhar pe maal le ker paise wapas na kerna... credit cards ke fraud kerna .... Gangs se chori ka maal khareedna... aur aese kai kaam hote the ...Bhanje ko bhi us haram ki kamaii se barabar ka hissa milta

Aik din aik shaks dukan main daakhil huwa aur us ne kaafi hangama khara kiya. Baqol uske, uske 25 hazar dollar un mian biwi pe nikalte the... Koi 'writen contract' nahi tha....jaate jaate woh shaks kehta gaya: "Nahi aaunga yahan ab kabhi apne paise lene! Nahi chahiye mujhe ab ye 25 hazar dollar - magar khuda kare tum teeno kutte ki maut mare jao"

Aik mahine baad, unho ne mujh pe 50 dollar chori ka ilzam lagaya aur bagar koi salary diye farig ker diya. Mujeh wo shaks bohat yaad aaya!

Baat guzar gai, mujeh residency mil gai. ...Is baat ko koi 14 baras guzar gaye. Main kisi kaam se us shahR wapas gaya to socha purane logoN se mil lun. Pata laga

Basheer Bhai Lahore apne rishte-daaroN se milne gaye the, wahan kisi ne purani dushmani ki aag main unhe goli maar ke laash kuttoN ko daal di....... Waheeda Baji ko stroke huwa aur phir heart attack main faut ho gain... aur bhanje Hamid ke peeche koi Mafia wale aese lage ke aik raat usne khudkushi ker li.

ye Duniya bhi ajeeb jaaye-makafate-amal hai




2 comments:

Beyond said...

This idea keeps me wondering at times. Call it fate or karma, but it is pretty complicated. The idea about day of judgment can also arise from this thought. That there will be consequences to one's actions. But pretty bad people survive and good people don't. I guess if death is the ultimate end to everything, this itself is quite a huge justification for life. But this subject is fascinating.

mystic-soul said...

Yes, this is a complicated topic - agree