Tuesday, December 30, 2014

Pardesi aur Purani Kahani

"Kiya huwa tum Pakistan nahi gaye? 6 mahine se shor machaya huwa tha, 10 baras baad Pakistan jaane ka!"

"Bhai! wahi purani kahani ho gai! Socha tha ghar walon ko surprise dunga jaane se 2 din pehle bata ke. Amma ko bataya to kehne lagiN: Choti ki shadi ki tayyari kerni hai, Abba ne kaha: ooper ki manzil banwani hai - aur ghar ke har fard ki farmaishain thi.... kisi ko iphone chahiye tha to kisi ko iPad aur kisi ko Nike ke joote... 10 hazar dollar bachane ke liye phir Pakistan jane ka program late ker diya. Inshallah agle baras...shayed....."

4 comments:

Beyond said...

Oh this is sad. Do you think people should not make others dependent on them?

Mystic said...

I guess many times dependents don't realize the agony of person who is trying to provide for them.

Anonymous said...

jane se pehla batay he kyo , airport pohanch kar call kar deta ke agaya ho ab aajao tum loog pick karne ya phir cab kara kar sedha ghar ajata .

mystic-soul said...

Anony: phir bhi family ki 'farmaishain' khatam nahi hoti