Saturday, December 27, 2014

Shah Vazeer

Shah Vazeer aik nahi do naam hain. Shah aur Vazeer. 
Ye dono dost hain. Aur ab bhi Karachi main kahin rehte hain.

Jab main medical school jaane ki tayyari main tha to aik tuition center main parhta bhi tha aur parhata bhi tha. Wahin meri mulaqat Shah aur Vazeer se hui thi. Ye dono aik dusre ke bachpan ke dost the. Bachpan se aik hi school gaye. Aik hi mohalle main rahe. Itne saath rahe ke naam hi 'Shah Vazeer' par gaya!

Un dono ko medical college jaane ka koi shoq nahi tha. Ghar waloN ke zor per intermediate repeat ker rahe the. Magar poora din Tuition Center ke bahir bethe rehte. Cigarette phoonkte rehte. Larkion ko dekhte aur class ka time khatam hota to bus main char ker ghar chale jaate. Main un se poochta ke jab medical college nahi jaana to kiun waqt barbad kerte ho? to hanste rehte. Saal khatam ho gaya. Main medical school chala gaya. Unhon ne science chor ker B.Com main admission le liya. 

Kuch  dino pehle Shah Vazeer ke mohalle ka aik larka America main mil gaya. Main ne Shah Vazeer ka poocha to usne bataya: "Shah Vazeer ab bhi usi mohalle main, usi makan main rehte hain. Dono ke paas ab aik aik motorcycle hai. Dono ke 3-3 bachhe hain. Shah ki aik choti si kiryane ki dukan hai aur Vazeer apni motorcycle pe supply ka kaam kerta hai. Woh ab bhi yunhi haste hain, khush rehte hain - aur jab koi unse poochta hai: aage kiya irada hai? to woh haste rehte hain"!

Pata nahi kiun? Main bohat dinoN tak Shah Vazeer ke baare main sochta raha! 25-27 baras baad bhi mujeh andar se yun mehsoos hota raha jese Main ne Shah Vazeer ke saath Tutition Center ke bahir saath cigarette na phoonk ker koi galati ker di !!!!!!

No comments: