Tuesday, December 23, 2014

Nuqsan

Hazrat Ali ne kaha tha: "Duniya ka sab se chota nuqsan daulat ka hota hai"

Zindagi ka aik lamba arsa guzaarne ke baad mujhe samjh aaya ke kitna sach hai ke - asal nuqsan kisi dost ka kho jaana, kisi ka aitmad kho dena, apna waqar - apni izzat kho dena, apne kisi piyare ki judaii, apni sahet ka nuqsan, apne iradoN ka past ho jana aur apne khawaboN ka nabood ho jana hai.

Aik dafa phir se ye sab parhiye aur sochiye - kiya daulat in cheezoN ka madawa ker sakti hai?

1 comment:

Beyond said...

Truer words were never spoken.