Sunday, August 02, 2015

Minions

(On central theme of movie minions)

Insaan ne apne irtaqa' ke agaz se hi apne khuda ki talash ki hai.

Aur khud hi apne har purane maa'bood ko sangsaar ker ke
aik naye maa'bood ko tarasha hai.

Kabhi janwar ki to kabhi pathar ki pooja ki hai. 
Kabhi suraj ke aage jhuka hai to kabhi ilhaad ke gaar main jiya hai. 

Jang-o-jadal ka shikar hua hai
aur kabhi bhoot pareet ko jaancha hai

Kabhi do khudaoN ke beech pees ker dui ki bu se bezaar hua hai. 
to kabhi Yagana-o-yakta ka janjaal saha hai.

Us ne wahid se wahdat ka safar kaata hai. 

Isi chakkar main shaitani quwwatoN ka aala'-e-kaar bana hai. 

Aik khuda ke sir pe taj pehna ke, 
usi taj ki talash main sayyaroN se aage ke jahan ka mutlashi huwa hai

Insaan ne ye safar  sirf aik dusre ka haat tham ke kaata hai
Insaaniat ka ye safar hi shayed mantaqi ut-tayyar ki kahani hai

 (Movie trailer here)

Listen audio of this post below

 

No comments: