Internet pe phir kisi ne ye baat forward ki to peechle janam ki aik baat yaad aa gai.
Jab hum college main naye naye gaye to bare jazbati hote the. 1984 ka zamana tha jab General Zia ki hukumat ne students pe haat daalna shuru kiya. Hum us ke khilaf roz pathrao kerne, jaloos nikalne aur police ki lathi, aansoo gas khane - college ki saath saRak pe nikal jaate. Tab hamare aik teacher hume roz rokte aur kehte: "Bure halat React kerne se nahi, soch samjh ke Respond kerne se theek hote hain".
Aadhi umar guzrne pe samjh aaya, waqiyaat pe hamara koi akhtiyar nahi, woh hote rehte hain - hum ya to react ker ke bigaR lain - ya soch samjh ke respond ker ke - zindagi main aage barhte chalye jaayaiN.
1 comment:
Bilkool Sahi farmaya Log bas react kartei hai aur ajj kal jab internet pe logo ke reaction padta hu toa aeysa lagta hai logo ne apney dilo mei kittni aag laga rakhi hai....
Acha Laga yeh Post padkar koi hai jo aeysa soachta hai...
Post a Comment