Saturday, March 18, 2017

On "Neki aur Badii"

Aik din hamare babaji ne kaha

"Buraii se hazar gaz dur raho, magar us ki nafrat ko dil main jagah banane na do"

Main ne kaha: "Babaji! buraii se nafrat to achhi cheez hui. Aap ki ye baat theek nahi lagti"

UnhoN ne jawab diya: "Beta nafrat ka jazba bakhud aik buraii hai. Badi ki illat (reason) neki hai. Badi ki apni aakhri manzil neki hai - neki ka suraj buraai ki ghup aazmaishoN hi main chamakta hai. Buraii hai to neki hai. Mere rab ne kisi cheez ko be-wajah paida nahi kiya - Zaher ka piyala tha to suqraat hai".

Aur phir  Maulana rumi ka ye shyr gungunane lage 

Aao aao, jo bhi ho tum aao aao 
mutlashi ho, aabid ho, rehbaani ho 
is karwaan pe mayoosi ka sayaa nahi
hazar ahed ke khaain ho
phir bhi aao,   aao aao

No comments: