Tuesday, March 21, 2017

On "Zameen ka bojh uthane wale"

Nasir Kaazmi ka aik shyr hai

ye aap ham to bojh hain zameen ka 
zameen ka bojh uthane wale kya hue

Bohat waqt lag gaya mujhe ye samjhne main ke - Zameen ka bojh uthane waale kaun log hote hain?

Ye woh log hote hain jo apne kaam se mukhlis (honest and sincere) hote hain. 
Jin ki apne kaam se lagan 'Bartar az ande-shaaye sud-o-ziyan' hoti hai
Unhe is baat ki fiqar nahi hoti ke maal ban raha hai ya nahi - aasoodgi milti hai ya nahi 

Ye woh log hote hain, jo apne kaam ko ibaadat samjh ker kerte hain



No comments: