Wednesday, March 01, 2017

Shortcut to Ishqe Haqiqi

"Babaji! hum jese sahal-pasandoN ke liye ishqe-haqiqi ka koi shortcut nahi?

"Hai, bilkul hai - magar zara mushkil hai - aur mardoN ke liye thoRa ziyada mushkil hai"

"Woh kiya?"

"Sachhe aur khaalis ishqe-mazaji ka tajarba"

"Aesa kiun?"

"Are pagle! jo aik aurat ka na ho saka - woh aik khuda ka kese ho sakta hai"!


4 comments:

Books and Stilettos said...

Mujahy Lagta hai kah Ishq-e-Majazi say Haqiqi tak ka safar tab tay hota hai ...Jab Ishq e Majazi na milay !

bsc said...

Very interesting and amazing B&S. You are saying this which I said during my teen-age thoughts (Yes I wrote it down and may have it somewhere in my writings (No not published)
However there is some truth in babaji's saying also but it is not a must, not being a soofi I do not understand how and why ishqay haqiqi develops

Books and Stilettos said...

bsc .... You made me smile -- Yani apkay aur meray teenage thoughts miltay jultay thay :)

I always thought and still think kah Khuda ki yad humain rotay rotay tab ati hai jab humain manpasand khilona nahi milta chahay wo koi bhi Ishq ho ...Ishq e majazi bhi aik aisa he khilona hai jo na milnay pay humain Ishq e Haqiqi ki taraf lay jata hai...Baaz auqat wo aik Aaam sa ishq achanak say humain Ishq e haqiqi ki aisi chah laga deyta hai kah phir koi aur Ishq nazar he nahi ata ...meray khiyal mein Ishq e Haqiqi khuda ki taraf say aik ata hai apnay khas bandon k liye ---they are the chosen ones ? I don't know ....

mystic-soul said...

Books and S: Well said. I agree with you. And my end of statement would be same. I don't know... (Hum sab hi yahan jawab ki talash main hain)