Wednesday, June 14, 2017

America and Faust

(America har kisi ko raas nahi aata. Is silsilay main pehle kuch post likh chuka hun jese  Akhtar bhai ka America (here) ya Asghar bhai ki lambi Judai (here). Aisi hi aik kahani aaj kisi ne kahi)

"Tum ne bachpan main - Faust - ki kahani to suni hogi. Bus mere liye America bhi kuch aese hi raha ---- Faust ki kahani kuch yun thi ke woh dunyawi khushiyoN ke badle shaitan se apni ruh ka sauda kerta hai. Jese jese uski khuwaishaat  baRhti jaati hai, us ki ruh madum hoti chali jaati hai. Aur aik din jab woh maut ke dahane pe khaRa hota hai to use ehsaas hota hai ke - usne baRe ghaate ka sauda kiya tha

Pehle F1 visa pe odd jobs ke saath college degree, phir professional job ki talash aur loan ki payment,  Green card ke liye bhag doR, phir shadi aur bachhe - aur phir community main compete kerne ke liye baRa aur phir us se baRa makan, Toyota camry ke baad Audi A6 ki gaari, public school ki bajaye bachhoN ke liye private school (ke log kiya kahain ge), dawatain - aur phir bachhon ki college ki fees.... Aik na khatam hone wala daaiyra -

- aahista aahista sab kuch milta gaya  - magar dheere dheere andar ki bujhti lo pe dhiyan aaj us waqt gaya jub mere doctor ne kaha: 'I think your heart is too weak now' - aur usi waqt mere smartphone pe biwi ka text aaya ke: "Can you come home on uber. I am too busy to pick you".

 - Aik dam se abba yaad aa gaye jo aksar ye kahani sunane ke baad hum se kehte the: "Dekho! Zindagi main kahin Faust na ban jaana"!



8 comments:

Unknown said...

Bohot khoob

mystic-soul said...

Zubair: Thank you. (BTW;You have a beautiful picture of you and your son on dp)

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Unknown said...

Shukriya. He's my nephew.

mystic-soul said...

Zubair: Sorry about that but I am glad you commented.

Unknown said...

Please share more about your abba.

bsc said...

My impression is "Man proposes God disposes" You did mention about "qismat" somewhere. Sometimes it is difficult to control your circumstances no matter how careful you are

mystic-soul said...

Zubair: I do write about my father here and there,, but inshallah a full post someday!

Uncle ::: you are so right. I met many unfortunate people who did everything right in life but remained unsuccessful (or I guess our definition of successful is wrong)