Thursday, June 15, 2017

America and Icarus

My previous post America and faust was a result of close discussion between friends at a iftar party. Another friend pitched in following story/opinion after first friend put Faust version).

"Hamari misaal greek mythology ke kirdar 'Icarus' jesi hai. Jese icarus ke baap 'Daedalus' ko us zamane ke badshah 'Minos' ne qaid kar diya. Magar apni hikmat se us ne uRne ke liye mom (wax) ke par (wings) bana liye. Us ne apne bete 'Icarus' ke liye bhi uRne ke par banaye aur woh uR ke qaid se faraar ho gaye. 'Daedalus' ne 'Icarus' ko nasihat ki ke dekho: 'uRan ki dhun main suraj ke bohat qareeb na chale jaana, warna mom ke par pighal jaayain ge'. Magar 'Icarus' apni uRan main aesa khoya ke apne baap ki nasihat bhula betha aur darya-burd ho gaya. Baqol Allama Iqbal:

Ganwaa Di Hum Ne Jo Aslaaf Se Meeras Payii Thii
Surreya Se Zameen Par Asman Ne Hum Ko De Mara



3 comments:

dopamine said...

Sir kia "faust" aur "icarus" ki story say ye akhaz kia ja skta hy k "aetadal pasand" (moderate) hona zaroori hy life mein??

mystic-soul said...

dopamine :: Kahan reh gaye the?

Aitdal pasand hona lazmi hai ::: Ambitious hone main aur lalchi hone main bus aik halki si lakir hai::: Pata nahi lagta kab gaRbaR ho gai !!!

dopamine said...

Idhr he tha sir, bas khamosh tha. Khubsoorat baat sir.