Thursday, October 19, 2017

Wapas na aane wale naraz log

(aik conversation)

"Agar koi zindagi se naraz ho kar chala jaaye, aur wapas na aye  - kabhi mulaqat na ho - to kaise pata chale ke woh ab bhi naraz hai ya nahi?"

"Jab ruthne wale khud nahi mil sakte to - kabhi kahin saloN ya mahino main - khawab main aa ker - apni muskurahat bikhar jaate hain. Aisa ho to samjho ab woh naraz nahi".

"sach?"

"bilkul sach"!

No comments: