Thursday, December 07, 2017

Boondi ke laddu

"Tumhari mithai agar gulab jamun hai, to meri boondi ke laddu".

"Boondi ke laddu - naaaa!!  - Boondi ke laddu? seriously?"

" Bhai! hum lyallpur main rehte the. Mere abbu aik mill mazdoor the. Har mahine ki pehli taarikh ko jab abbu ko paise milte to woh aate hue boondi ke laddu le aate. BarsoN ye silsila chalta raha. Hamari zindagioN main boondi ke laddu aur pehli taarikh lazim-o-malzoom ho gaye.

.........Mere liye boondi ke laddu sirf laddu nahi, bulke aik poora maazi hai, khubsurat rishte naatoN ka aur  piyar ka aik silsila hai, baap ki shafqat ki akkasi  hai.

.......Kisi bhi insaan ki aik aam si aadat ke peeche barsoN ka yaadoN ka rela chupa hota hai. 

Doctor! tum itni jaldi judgemental na ho jaaya karo!"

2 comments:

bsc said...

Memories by association. Neurologically speaking they last longer. They tend to remain for the life.
Like so everybody has such associations with some events or feelings or substances, things etc. I dont know but I would not call it Judgemental (My thinking is so neurological)
Mithai is generic name and there are so many names of each product but I think Laddoo is unique because of
man main laddo phoot rahay hain

mystic-soul said...

Uncle: You hit the nail by this term, "Memories by association"