Thursday, December 21, 2017

Silsila

Jab main USA main residency dhoondh raha tha - aik waqt aesa aaya ke mujhe dostoN se udhar lene paR gaye. Aik dost ne 300 dollars diye. 

Main ne kaha: "Residency milte hi lauta dun ga".
Us ne kaha: "Jis ke hain us ko de dena"
Main ne kaha: "Kiya matlab? ye paise tumhare nahi? to phir kis ke hain?"

Us ne zor ka qehqaha lagaya aur kaha: "Pata nahi aage kis ke hain".
Main ne kaha: "Yaar pehli na bujhao. Seedhi tarah batao".

Us ne kaha: "Bhai! main jab USA aaya to kisi se qarz liya tha. Us ne kaha tha. Aage lauta dena, matlab jab kisi ko zaroorat ho to aage help ker dena. Tum bhi yahi kerna. Jab residency mil jaaye to aage kisi aur ko ye 300 dollars de dena."

Ye baat mujhe hamesha yaad rahi. Mera jawab bhi aksar yahi hota hai: "Aage lauta dena"!

3 comments:

Books and Stilettos said...

Yes “ pay it forward “ much needed way of giving ~ not limited to money 💰 only though! Knowledge,time goodwill and so many other acts of kindness come under this concept IMO !

Mystic said...

Indeed! Indeed!

Rida said...

Bohat piyaari baat...