Sunday, June 17, 2018

Sikandare-Azam

(I wrote the following post about 25 years ago after graduating from M.B., B.S.  Few days back as I decided to shred many of my old writings, I found the following. I kept it to post for today)


Koi 5 baras rozana - hum medical college ke darwaze pe us buRhe ghoR-gaaRi wale ko us laRki ko utaarte dekha kerte. Maile kuchele kapRe hote - magar aankhoN main aik chamak

Woh laRki ko utaar ker - us waqt tak intazar kiya kerta - jab tak laRki college ke andar nahi paunch jaati. 

Kuch laRke us pe ghatya qism ke jumle bhi kas dete - magar woh darguzar ker ke guzar jaata.

Isi tarah ka silsila sham ko bhi chalta.

Graduation wale din pata laga - woh koi aur nahi, us laRki ka baap tha 
Us laRki ne 4 subjects main gold medal liye - 
Jab stage pe woh gold medal le rahi thi - main babaji ko dekh raha tha - us ki aankhon ki chamak das guna barh chuki thi - aur honton pe sikandere azam jesi faatihana muskurahat thi

 - aur main dil main sochta raha: Zindagi ka asal sikandere azam ye buRha shaks hai jis ne din raat haq halal ki paaii paii jama ker ke aulad ko yahan paunchaya.


Note: There was no father's day on those days. But I guess this post deserves to be saved.  


No comments: