Monday, June 25, 2018

Aik line ka woh khat

Medical College ker ke hum saare dost apni apni zindagi ki bhag doR main juth gaye. Hamare clinical group ka aik laRka Rehan (Renu) sab se alag apne doctor mamu ke haan East Africa chala gaya. Renu aur meri aik alag munfarad 'connection' thi. Use achuti kahanian, novels, mazamin aur latife paRhne ka shoq tha - aur mera bhi kuch aesa hi haal tha. Sab se pehle hum aesi koi cheez aik dusre se sab se pehle share kerte. 

Aik roz America main residency ke second year - mujhe aik khat mila: 
Poora warq khali tha: Sirf darmiyan main likha tha:


"Haramzade bohat yaad aate ho"

 Aaj bhi jab koi dost zindagi se dur nikal jaata hai, dil main chupke se, akele main usey yaad ker ke kehta hun: 'Haramzade/zadi bohat yaad aate(i) ho'

(Is email ne khat likhne ki saari khubsurat yaadoN ko mita diya).

2 comments:

bsc said...

""is email nay khat likhnay ki sari khubsurti ko mita dia
very powerful as well as poignant statement
My very good friend and his wife they are both no more now but long time ago when we used to write letters he was not responding. may be he was busy or angry or something so I wrote a short note letter not to him but addressing his wife something like:
Assalamu alaikum mujhay buhut afsos hay keh aapkay shoher Allah ko piyaray ho gaiyay aap kay hgam men shamil huN
lekin agar woh zindah hen to suboot den

May Allah reward both of them Jannat He was my roommate for two years and friend-classmate for 6 years In KE med coll they used names for roll numbers My Roll number was 99 and his was 100, something like that we were four "partners My name beginning with w and other three were beginning with Z

Beyond said...

Right back at ya