Thursday, February 14, 2019

Buraii ki illat

"Sir! aik mushkil sawal poochuN?"

"zaroor"

"Sir khuda na buraii ko kiun paida kiya?"

"Dekho jab tak -  antithesis na ho, thesis synthesis nahi banti
- wese hi agar buraii na ho to - neki se hikmat janam nahi le sakti
- buraii ki illat aur manzil ; hikmat hai

Neki jab taj buraii ke 'conflict' se nibard azma nahi hoti : Jab tak ye wisal nahi hota ; Hikmat janam  nahi le pati

Carl Jung ne kaha tha: "Where wisdom reigns, there is no conflict between thinking and feeling." 

~ Andar ka darya shaant ho jaaye to buraii ki chahat nahi rehti :: buraii apni illat paa ker khud dam toR deti hai

Bus isi 'sukoon'  ke kuuze main la ilaha ka darya band hai


No comments: