Wednesday, February 13, 2019

Aik Anokhi Dua

Insaan ko zindagi main baRe ajeeb ajeeb log milte hain. Hamare nana ke aik achhe dost the - hum unhe bhi nana kehte the. Un ki zindagi ka ziyada hissa East Africa main guzra tha - is liye angrezi ziyada bolte the. Aik din ab yaad nahi kiya baat hui ke mujh se bohat khush huwe. Main ne un se kaha, 'nana koi achhi si magar mukhtalif si dua dain" . Unho ne angrezi main kaha:

"We all die one day. I pray the day you die you have no despair around you"

(Hum sab ne aik din marna hai. Magar jis din tumhe maut aaye khuda kare tumhare aas paas maayyusi ka koi saya na ho)

Tab naujawan tha - baat be-maani lagi. 
 - Ab lagta hai ke is se ziyada khubsurat dua ho nahi sakti.

1 comment:

Aly said...

Kamal Kar diya nana ne :)