Saturday, December 22, 2012

Mera Harjaii, Mera Taranhaar!

Gul meri zindagi ki aik aesi chubhti yaadgar hai jeese bhulana aasan nahi. Is silsile ki 2 posts pehle likh chuka hun (here, here)......Main ne kuch dinoN pehle use phone is liye kiya tha ke meri chubhan main kuch kami ho, magar is  qatil zaher ka shayed koi taryaq mumkin nahi.

"Suna hai tumhara shohar koi bara kamina insaan hai"

"saari duniya ke liye woh haramzaada aur kamina hai. Aur ye sach bhi hai ke usne khandan, mohalle main bari bad-naami kamaii hai.... Shadi-shuda aurtoN pe dore daalna, doston rishtedaroN ki bahen betioN se chakkar chalana, bazari aurton se taaluqat rakhna, juwa kehlna, sharab peena - jo kamana woh ayyashi main ura dena --- ye sab sach hai ------- Magar mujh jesi larki, jo sirf buri qismat se shamaye-mehfil ban jaati hai, ko ghar ki izzat banana, aese hi mard ki jurrat ker sakti hai --- werna tum jese mard to saari zindagi bus mantiq ke ghore dorate rehte ho ---- aur hum jesi larkian kisi bazar ki dahleez pe bethe bethe 'aunty' ban jaati hain.....Koi kuch bhi kahe magar mera to woh taranhaar (rescuer) hai....Har sham bhale kisi aur aurat ki bahoN main rehta ho magar har subah woh meri agosh main bedaar hota hai. ......tum nahi samjh pao ge!.... Badqismat hoti hain woh aurtain jo laut aane wale mard ki aasudgi se saari zindagi na-waqif rehti hain ---- aur mera harjaii to har subh mere paas lota hai".

2 comments:

EyeAre said...

As they say: "The most beauriful words in relationship are - I want to come back"

bsc said...

Dukh bhi hay awr sachchaiee bhi. Aisay alfaz waqaiee sonay kay pani say likhnay kay qabil hain.
Allah iss baitee ko khushian dikhaiay