"Mali baba ! aap ne saari umer bagbaani kerte guzaar di. Bus phoolon se pyar kiya, pode lagaye, darkhat ugaye, phal sajaaye, kiyarian banai. Kesa lagta hai aap ko"
"Dekho baba! Hur insaan ke ander aik rab rehta hai. Us ke ander bhi cheezain thakleeq kerne ki - zindagi dene ki - us ki parvareesh kerne ki - saaya dene ki - aik rag pharkti rehti hai. In saans lete podon ki bagbaani ker ke kuch der ke liye apne rab jesa banne ki koshish kerta hun...Tum ne shayed hi kisi bure shaks ko bagbaani kerte dekha hoga"