Monday, June 11, 2007

Addicted to Kaaba

Aslam se, bulke Dr. Aslam se main bohut saalon baad mila. College ke zamane main mere khayalat kafi "progressive" the isilye sare daherye, leftist, azad khayal aur new age type log mere dost the. Aslam nazaryati tor pe poora athesit tha. Main ne MBBS ker ke Pakistan chor diya magar Aslam wahin reh gaya. Aslam jab america ghumne aaya aur us ne mujhe call ki to mera weekend off tha. Hum ne poora din saath guzara. Agli, pichli kai batain huin. Un baaton main se aik baat mujhe yaad reh gai.

Hum aik desi restaurant main beth ker khana kha rahe the aur peeche Mohd. Rafi ka ye gana baj raha tha "...kisi ko nasha ha jahan main khushi ka, kisi ko nasha hai game-zindagi ka....." Is se hamari baton ka silsila 'addiction' ke mozun per nikal chala.

Main ne Aslam se poocha: "Tumhe kubhi koi addiction laga?"

Aslam ne kaha: "Mujhe aik baar kaabe ka addiction ho gaya tha"

Aslam jese daherye (atheist) se ye baat sun ke mujhe bahut ajeeb laga. Main ne hairat se poocha: "you mean khana-e-kaaba ka addiction?"

Us ne bataya: "Tum to jaante ho main to sirf naam ka musalman tha. Aik baar Haj ke liye doctron ki team ko bhi bheja ja raha tha. Mera naam bhi nikal aaya. Main ne kaha chalo free main saudi arab ghum aaun. Jese hi hum Mecca paunche, saare log haram ki ziyarat ke liye chal pare. Marta kiya na kerta main bhi sath chal para. Magar yaqeen karo, na jaane us imarat main kiya baat thi ke, I could not keep my eyes off that black box. Jub tak hum Haram main rahe, main ghanton khara khanae-kaba ko takta rehta. Na mujhe khane ka hosh rehta na peene ka. Main mecca ki un galion main pheera jahan kubhi huzur phira kerte the. Gaare Hira dekhne gaya. Jannatul Baqeeh ke kabrastan gaya magar kaaba mujhe har lamhe magnet ki tarah khencha kerta. Main madina gaya magar mecca ke liye dil tarapta raha. Mere zahen ki saari taqat mafqood ho jaati thi. Koi cheez aankhon ke saamne chalti rehti. Agar mere biwi bachhe peeche na hote to main wahin ruk jaata. Pakistan wapas aaya to raaton ko uth ker rone lagta. Dil kerta ke uR ker mecca paunch jaun. Mujhe kisi ne tableeg nahi ki. Na mera Islam ko gale lagane ka koi irada tha. Main america, europe ke kai shehron main ghuma aur bari bari imaratain dekhi magar us imarat ki maqnateesiat mujhe le dubi..."

Main sunta raha aur sochta raha - kiya yahi woh man-o-salwa hai jo aasman se utarta hai !!

No comments: