Tuesday, June 26, 2007

Maushami


Agar aap ne Jhumpa Lahiri ka novel 'namesake' parha ho, to us main aik larki ka kirdar hai, Maushami (jise badqismati se director mira nair film main durust tarah se portray kerne main, buri tarah se nakam rahi hain). .....Maushami is a screwed but a very sad character.

Jub larki jawan ho rahi ho aur agar us pe larkon ki nazrain na pare, ya log us ki khubsurti ki daad na de, ya us ke jazbat ander hi ander dahakte rahain, ya agar woh khubsurat na ho, to kabhi kabhar, ye lawa kisi roz itni zor se pahtta hai ke woh har mard ki nazre-altafa'at chahna shuru ker deti hai. Use mardon ke saath sone ki adat ho jaati. Woh hur lamhe 'rebellious acknowledgement' chahti hai. Maushami ki shadi aik achhe insaan Gogol se ho jaati hai magar shadi ke baad bhi woh dusre mardon ki adat nahi chor sakti.

Bachpan ka ghao saari zindagi nasoor bun ker behta rehta hai.

5 comments:

The Brown Girl said...

do you speak punjabi too?

sobia said...

mere khayal mein baat khubsurti ki daad ki nahi recognition ki hai. agar insan ko (larki ya larka dono ko)apni zaat ki pehchan na mile aur unki salahiyaton ko aur unki shaksiyat ko ahmiyat na di jaey to woh baghawat per aasakte hein. aur baghawat ka apna apna andaz ho sakta hai.
badqismiti se hamare muashre mein larki ka pehla aur baaz dafa wahid talent uss ki shakl o surat aur khubsurti ko hi mana jata hai. lehaza bachpan se hi larkiyan apni shaksiyat k doosre pehlu per ziada tawahhuh nahi de patin jis ka end result khubsurat na hone ya notice na kiye jana per woh dil bardashta ho jati hain. mera zati khayal hai k agar hum larkiyon ko un ki zaat ka idraak kerna sikha dein aur larkon ko apni zaat k ilawa bhi cheezein dekhna sikha dein to buhut tabdeeli aasakti hai.

mystic-soul said...

I can understand punjabi but not fluent in english....


WMW - I agree with you. Another aspect of Maushmi, which i failed to mention was her mother's obsession to raise her as a very 'ideal' child..

Unknown said...

acha hai
www.jamali4all.blogspot.com

mystic said...

I liked yr blog. Its pretty unique.