Sunday, June 24, 2007

Aik ka sawa lakh

Babu prasad singh yahan america main mere parosi hain. Un ke 6 bachhe hain. 3 idhar america main aur 3 udhar Bombay main. Babu parsad singh kabhi yahan aur kabhi wahan rehte hain, ghumte phirte hain aur khub maze kerte hain. Aaj subha sunday ko main bhi un ke saath mandir chal para. 20 acre pe naya naya bana mandir kafi 'impressive' aur khubsurat hai. Woh ooper apni puja path kerte rahe aur main ghum ghum ke mandir ki sair kerta raha. Saath neeche utre to wahan mandir ke neeche aik choti si desi grocery store hai, jis se babu prasad singh ne bahut sara saman kharida. Jab hum car main bethe to main ne kaha: "Bapu ! itna sara saman - kiya karo ge aap ?"

Babu ne kaha: "ye grocery store aik widhwa (widow) ka hai. Aaj kal log mandir kum aate hain isi liye bechari ka store bhi nahi chalta, isi liye yunhi saman kharid leta hun".

Phir kuch der chup rahe aur bole: "aaj se 30 baras pehle meri bhi Mumbai main aik choti si karyane ki dukan thi. Bari mushkil se mera guzara hota tha. Mera bal bal qarze main duba tha. Meri dukan pe aese hi aik widhwa aurat chawal daal kharidne aati thi. Us ke 5 bachhe the. Main kabhi us se paise na leta tha. Woh mujhe hamesah dua deti ke, tu mere bachhon ka pet bharta hai, bhagwan tere bachhon aur un ke bachhon ka pet bhara rakhe. Aaj mere 6 ke 6 bachhe khub khushal hain. Rupe paise ki koi kami nahi. Mera dil kehta hai, ye usi aurat ki duwaon ka kerna hai. Bus isi liye is aurat ki grocery store se bhi bewajah cheezain le leta hun......Yaqin mano, achhi niyyat se diya kabhi bekaar nahi jaata. Aik ka sawa lakh wapas milta hai"

2 comments:

sobia said...

aise waqiyat sun ker mein apne achai k jazbe ko buhut tawana mehsoos kerti hun. thnx for sharing.

mystic-soul said...

you are very welcome....and I appreciate your comments and feedback to posts.