Saturday, April 18, 2009

Qari Sherullah

(In last few weeks, we had posts/comments on father-daughter relationship - Here is one story from mazi ke dareeche)


Qari Sherullah agar dande na maarte to khud ki qasam hamara kubhi bhi 'khatme-Quran' na hota.

Abbu ne Qari Sherullah ko khuli chutti de rakhi thi ke jitna chahe maare peete magar bus aik baar mera aur bhai ka 'khatme-Quran' ho jaaye. Main ne aur bhai ne Qari Sherullah ke khub dande khaye.....Us umer main hame Allah mian se to dar lugta tha magar Namaz, Roze, Quran pe dil maail nahi hota tha.

Yun to Qari Sherullah ka kaam 'auto-tyre' ka tha magar unka 'business' unka beta dekhta tha. Unki beti hamari umer ki hogi aur hamare saath hi quran parhti thi. Qari Sherullah apni beti se bara piyar kerte. Uski koi baat na talte. Us ki zid ke aage maand par ke ghar pe VCR bhi lagwa liye, bus is shart ke saath ke sirf purani hindustani filmaiN dekhi ja'ain gi. Hame bara gussa aata ke - hum ko danda aur beti ko halwa?

Hamara 'khatme-Quran' huwa - mithaii bati, milad huwi aur hum ne sukoon ka saans liye ke chalo Allah mare Qari Sherullah se jaan chuti. Ab har dopher khub cricket khelaiN ge.

Aik raat ko mohalle ke nukkar pe bethe hum larke gap laga rahe the ke - Qari Sherullah 'video' ki dukan se aik bharti film ki video le ker baramad huwe. Hum larkoN ko dekh ker jhenp se gaye. Hum lurkoN ko bus mauqa chaiye tha - Allah de aur banda le! - Hum sab ne unpe woh awazaiN kasi ke, parwardigar ki tobah!.... ..Kisi ne kaha - 'Haye meri Rekha',... koi bola - "siri devi ke thumke', ....Mujhe yaad hai - main ne awaz khenchi "Rajesh Khanna, kha le ganna".....

Ab sochta hun to yaad aata hai ke Qari Sherullah ki aankhon main aansu dubduba gaye the...

2 roz baad mujhe unki beti 'Safoora' gali main mili to kehne lagi: "Tum logoN ne mere abbu ke saath theek nahi kiya. Abbu ne to aaj tuk kubhi koi indian film nahi dekhi. Bhai ghar pe nahi tha, main ne zid pakar li ke, abbu bus film dekhni hai. Abbu meri zid ke aage haar gaye. Aur apne saare asooloN ko balaye taak rakh ker na jaane kin qadmoN se 'video' ki dukan tuk gaye - magar tum logoN ne woh zillat di ke poori raat sajde main gir ker rote rahe. Allah tum logoN se is ka hisaab zaroor kare ga."

Kuch dinoN baad Qari Sherullah hamara mohallah chor gaye...

Ye beti ki mohabbat bhi ajeeb cheez hoti hai. Qari Sherullah to beti ki mohabbat ko sir aankhoN pe bitha ker sarkhuru ho gaye magar mera zameer aaj bhi hisaab ke dar se betha jaata hai.

Qayamat ke roz Qari Sherullah to mujhe 'khatme-Quran' karane ka sawab le ker jannat main daakhil ho jaayaiN ge - magar main na jaane kese khud ko hisab ke azab se bacha paun ga!

6 comments:

Muhammad Usman Chaudhry said...

A real thought provoking stuff. I've managed to figure out two very strong points out of it
1. Love can make you do anything.
2. We should either be perfectly sure that what we saw is true or simply see ourselves first!

mystic said...

Its very true.....

Both of your home taken messages are 100% true.....

Anonymous said...

awwwww...I liked it a lot : )

mystic said...

kum az kum, likh ker mere dil ka thora sa bojh to halka huwa

bsc said...

khoob hay, Qari saheb mashallh standard Quran kay teacher thay. Mujhay yeh "marr" pasand nahin but that is a must in our culture.
Buht kuchh likhnay ko jee chahta hay laikin likh na sakoonga. Baap aur baitee hi muhabbat ka mujhay ziyadah ílm (ya ihsaas) apnay buRhapay main ho raha hay. There is a distinct difference of my love for son as compared to that for daughter and I cant explain it, nor the fact that it has become more apparant now in my life though I have been somewhat less obviously conscious of it all my life. Dont get me wrong, I do love son as much but the feeling is different when it comes to daughter and that's what I cant explain. Psychology may have some Freudian old fashioned explanations but I dont buy his explanations, I never did.

mystic said...

Its OK.....tub to bohat gussa aata tha magar ab lagta hai, woh aik aehsan hi kar gaye...