Thursday, April 09, 2009

Aik Sham

Kul shaam, main apni beti ko park main le gaya. Wahan khelne ke baad woh, wahiN mere seene pe sir rakh ker so gai. Shaam Dhal rahi thi aur Aasman pe poora sunehri chand tha. Meri zindagi main shayed is se ziyada shireeN aur taskeen bhara lamha pehle kubhi na aaya ho. Faiz sahab bohut yaad aaye

Shaam ke pech-o-kham sitaron se
Zeena-zeena utar rahi hai raat
Yoon saba paas se guzarti hai
Jaise keh di kisi ne pyaar ki baat.
..........
Shaane-baam par damakta hai
Meherban chandni ka dast-e-jameel
Khaak mein ghul gayi hai aabe-najoom
Noor mein ghul gaya hai arsh ka neel.
...........
Dil se paiham khayal kahta hai
Itni shireen hai zindagi is pal
Zulm ka zahar gholne wale
Kamran ho sakenge, aaj na kal
Jalwagahe-visaal ki shamayein
Wo bujha bhi chuke agar, to kya
Chand ko gul karen, to hum jane.

2 comments:

bsc said...

Faiz had his own style of expression very very eastern and fresh and captivating
"zeena zeena uter rahi hai raat"
makes it look so romantic
he has a way with words only some shaairs have.
khoob hai

mystic said...

First time when one of my friend read this poem for me I was only 22 or 23 years old and was unable to appreciate the beauty but now I can fully enjoy the slow pleasure of "zeena zeena utar rahi hai raat"