Zaroori nahi Allah ke sufi aur baba log sirf jangal bayabanoN main rehte hon. Woh insaanoN ke beech - 3 piece suit pahen ker far far angrezi bol ker clean shave bhi hote hain.
Mera Khayal hai ke agar aaj ke daur main sufi hote hain to Allah ke sab se bare Auliya koi "Economist" honge. Aaj ke daur main insaan ka sab se bara masla gurbat (poverty) hai. Saari bimariaN isi bhook, piyas aur aflas ki paidawar hain
- Globally the uneven distribution of wealth -
A true "Economist" try to find ways to make quality of life better for humans.
Jese aap ne Grameen Bank wale us Bengali Baba - Professor Muhammad Yunus ka naam to suna hoga! - bus Allah wale log aese hi hamare aas paas rehte hain
1 comment:
Khuda kay bunday to haiN hazarooN, banooN main phirtay haiN, maaray maaray
MaiN uss ka bunda banooN ko jiss ko Khuda kay bundooN say payar ho
Post a Comment