Wednesday, April 29, 2009

Azab-e-yaad-e-maazi

"Tumhara dil nahi kerta hamari zindagi phir 20-22 baras peeche chali jaaye. Wahi college ke din hoN. ....KhwaboN khiloN ki jaagir ho. Na rishton ka gum ho na duniya ke bandhan.... Be-fikri ke din hoN aur mehfiloN ki raataiN ho" 

"Nahi mera aesa bilkul bhi ji nahi chahta" 

"kiun?" 

"Maaazi ke kuch arse ka - aik aik lamha main ne jis barzakh (hell) main guzara hai - sirf mera khuda jaanta hai. Jub perdes main be-yaar-o-madadgar tumhe shohr 'iron rod' se itna marta ho ke tumhe 'rib factures' ho jaye aur 'renal hematoma' bun jaye aur itne 'bruises' hoN ke chehra pehchana na jaaye. Phir dusri shadi ho aur woh tumhare ma baap aur bhai ke saare paise jahez main le ker tumhe raat 11 baje ghar se nikal de. Kubhi tum 'Detroit' ki sardioN main sarak kinare aik suit case le ke khare ho. Tumhe poora mahina dost ki gaari main raat so ke guzarni pare - aur aahista aahista aik aik tinka jama ker ke jub thora sa qarar aaye magar baalon main chandni jhankne lage - to - nahi dil nahi chahta ke maazi laut ker wapas aaye"

2 comments:

Anonymous said...

hayeeeeeee : (

har waqt ka shukar guzar hona chahiye. mager dar lagta kay jaisa waqt unhoun ne guzara uske baraye main kya keh sakte. A learning experience and a test does not seem enough.

mystic said...

Some time post traumatic stress disorder is too hard to cope with