aitraaf
Iblees ke baare main kehte hain ke: "galati ker ke haazir ho jaata to uski mojaN hi mojaN ho jaati". Agar apni galati maan leta to apne rab ke huzur aur muazzaz ho jaata! Iblees ka adam ko sajda na kerna to uska rab yun hi muaaf ker deta magar galati ka aitraaf na ker ke azal tuk ruswa ho gaya!
3 comments:
zabardast!!!galti ka aitraaf karna har kisi ki bas ki baat nahi hain...agar aitraaf karliya bhi gaya toh duniya mein aisey bhi log hain jo maaf karna gawara nahi karte...balke uski galtiyan usey baar baar yaad dilayi jaati hain..(speaking from experience)apni galti ki maafi ki umeed rakhte hain Allah ta'ala se lekin khud kisi ko maaf nahi karsakte.
thats y it is said k galti ka aitraaf karne se koi choota nahi ho jata balkay uski barai main izaafa ho jata hay....or iblees ki sarkashi to qaim rehni thi insaan ki aazmaish k liye.....uska maafi na mangna bhi Allah hi ki taraf sy tha...
Baqol Iqbal:
Baagh-e-Bahisht se mujhe,
hukm-e-safar diya tha kyon
Kaar-e-jahan daraaz hai,
ab mera intezaar kar!
Aur baqol Mir Taqi Mir:
Chahte hain so aap karain
hum ko abas badnaam kiya
Post a Comment