Sunday, January 30, 2011

Purane zamane ki aurat!

"Mere baap ko phansi ki saza hui thi. Ye sach hai. Magar log kehte hain jis qatal ke jurm main use saza hui thi woh usne nahi kiya tha. Pata nahi ye sach hai ke nahi. Magar ye sach zaroor hai ke jis raat use phansi hone wali thi woh jail se farar ho gaya. Us ke farar hone ki alag alag dastanaiN bayan ki jaati hai magar jo sab se ziyada qabile qabool kahani hai - woh ye ke us ne apne qad kaath ke aik shaks ko apna jail ka libas pehnaya aur use deewar ki taraf mun ker ke sajde namaz main laga diya. Us ne us shakhs ko kese raazi kiya ye Allah hi janta hai magar log batate hain mere baap ko baatoN se logon ko sheeshe main utarne ka fun khub aata tha. Phir us ne aik police wale ko qatal kiya. Us ka libas pahen ker  jail se nikla. Kashti wale ko lakh rupe ka lalch de ker dariya aboor kiya.

Mera baap usi din aakhri dafa aik taxi main hamare ghar aaya. Us ne mujeh piyar kiya aur kaha koi pooche to kehna mujeh kuch nahi pata. Jub hamare ghar police aai to main ne yahi kaha. Us din ke baad main ne apne baap ko nahi dekha! Amma ke paas aksar kahin se paise zaroor aate the magar abba khud kabhi wapas nahi aaya!

Meri Ma har roz aros paros ki aurtoN se abba ke qisse bayan kerti thi. Main ne aik din Ma se kaha - "dafa ker amma. Tere kehne se ke woh chup chup ke hum se milne aata hai, koi woh sach much thori wapas aaye ga. Use bhool ja aur roz roz ki in bataoN ko dafa ker".

Amma ne jawab diya: "Tu kiya jaane ye jhoot mere liye kitna zaroori hai. Aurat ke liye mard ka naam kitna zaroori hai aur us se barh ker -  ye ruswaii kitni zaalim hogi ke woh mujeh chor gaya. Tu aurat nahi - tu kiya jaane in baatoN ko". 

Main dil main kehta - Purane zamane ki ye aurat!

Phir sochta hun kisi roz naye zamane ki kisi aurat se poochun ke kiya woh bhi aesa hi sochti hai?

2 comments:

Anonymous said...

aaj bhi kuch auratein aisi hain magar shayad aaj kal k mard ko aurat per itna aitmad nahi k woh uss ki qadr kare. us ko yehi lagta hai k mujh se shadi ki to maan baap k sir ka bojh utarne k liye, mere sath hai to mere paise aur mashre mein maqam k liye.

iss sari baat mein asal baat yeh hai k woh aurat aise halat mein bhi apne shohar ki wafadar thi aur bure logon se bachne k liye apna bharam qaim rakhe huay thi, iss mein gharz nahi khuloos hai

mystic said...

I agree with you. It reminded me of my own one lesson of life I learned years ago. Read that episode here

http://zindagi-ki-diary.blogspot.com/2007/06/rishte.html