Har insaan ki zindagi main 2 ya 3 daafa kuch aese lamhe aate hain jub koi pehli baar milne wala shaks barsoN ka aashna lagta hai.
Un lamhon ka 'idraak' nahi hota bulke 'tajarba' hota hai!
Un lamhoN ko lafzoN main nahi gondha ja sakta!
Koi 'electricity' ka taar hota hai jo 'click' ker jaata hai!
BarsoN baad bhi yun lagta hai jese kul ki baat ho!
Koi aesa 'connection' lag jaata hai jis main waqt ka daira simat sa jaata hai!
Aese lamhe jo aik dum se rah chalti zindagi main khud saamne aa ker pukarte hain!
Baqol Banu Qudsiya:
"Dil main aik aesi khushi jo na kisi neki ka ajar hoti hai aur na kisi mehnat ka samar".
Baqol Nasir Kazmi:
Ajeeb maanoos ajnabi tha mujeh to hairan ker gaya woh
(Related post: The Bridges of Madison County)
2 comments:
Yeh sab sahi hei siwa iske ke mujhe aisa lag raha hei ke yehi kuch lamhe mujhse saalon ke saafle per hein... agar chahun to haath barhaa kar unhe chuu nahin sakti...
Dont know if I can/ will ever relive them "outside" of my imagination!
Baqaul Faiz,
Mujhe maujzon pe yaqeen nahin, magar aarzoo hei ke jab qaza!
bas Woh EK lamha hi meri Zindagi ka haasil hai
Jab kisi ne mujh se kaha tum Meri MOHABBAT ho...
Post a Comment