Friday, April 15, 2011

On 'Comforting a loved one in Crisis'

(Recently one of my regular read and very favorite blogger Aisha had a post on 'Comforting a loved one in crisis'. It reminded me a story of a Jin. I will write in Urdu as it was heard in childhood. I added last line in story so pardon me for that). 

"Kehte hain kubhi Insaan aur Jin saath isi zameen pe rehte the magar ab saare jin zere-zameen pa'ta'l main rehte hain. Jub jinoN ne khubsurat insaani aurtoN pe sare-shaam aashiq hona shuru kiya to Hazrat Suleman ne unhe insaanoN se alag kerke door neeche pa't'al main bhej diya.

Aesa hi aik jin tha. Pata nahi kiya naam tha. Kehte hain paida huwa to bara kamzor tha. JinoN ke hakeemoN ne aesa ilaj kiya ke sab jinoN se ziyaada lamba, chora aur mota ho gaya (overdose of growth hormone I guess?). Woh Jin bara pareshan rehta ke kahin 'fit' nahi ho pata. Koi us  ka 'dukh dard'  na baantta. Aik din us jin ne apne sardar se kaha: "Hum JinoN main jazboN ki 'chip' hi nahi! Mujeh ijazat marhmat farmayain ke oooper zameen pe insaanoN main jaun aur apne gum ka madawa karun. JinoN ke sardar ne is shart pe ke woh kisi insaani aurat pe aashiq na hoga use zameen pe jaane ki ijazat de di. Aur aik shaam jin zameen pe namoodar huwa.....

Kehte hain zameen pe jo use dekhta bara heran, pareshan hota. Koi maroob hota to koi hairat se takta - to koi haibat-zada hota! Magar saari zameen pe koi na mila jo us ke 'misfit' hone ka dukh mehsoos kerta. Us ne mayoos hoke phir pa't'al ki rah li! Jub aik shaam kisi weerane main pa't'al jaane ki liye zameen ke mun se patthar uthaya to us ke neeche aik keera (bug) daba huwa tha aur niklne ke liye betaab tha. Us ne keere ko azad kiya. Kuch socha - aik muskurahat uske chehre pe aai aur woh phir apni asal ko paunch gaya.

Aik din jinoN ke sardar ne us se pooche: "Phir zameen pe un badbakht insaanon main se kisi ne tera dukh baanta?" To Jin ne jawab diya: "Huzur! main zameen, aasman, pa't'al main apne dukhoN ka madawa dhundhta raha. Is ka ilaj na to kisi aur jin aur na kisi aur insaan ke paas hai. bulke mera sukh dukh mere andar hi hai. Main ne musibat main kisi kamzor ki madad ker di to laga mere saare dukh chat gaye. Main ne kisi dusre ke dukh ko kum kiya to mera apne dukhoN pe rona band ho gaya. .......Sardar phir zameen pe jaane ki ijazat marhmat farmayain magar is shart ke bagar ke ab kisi aurat pe aashiq nahi ho sakta!"

Suna hai ab aik jin is zameen pe rehta hai jo aksar sare shaam kisi aurat pe aashiq ho jata hai!

No comments: