Tuesday, August 30, 2011

On Eid Day

Khuda Quran main kehta hai ke woh hame aazmaye ga - dar se, bhook se, maal se, jaan se aur phaloN (aulad) ki kami se (2:155).

Kubhi kubhi sochta hun - zaroori to nahi ke - ye dar, bhook, maal, jaan aur phalon ki kami hamari apni ho. Iska ye matlab bhi to ho sakta hai ke - kisi aur ke dar ko hum kitna baantte hain, kisi aur ki bhook ko hum kitna mehsoos kerte hain. Kisi ke maal pe badnazri to nahi kerte. Kisi aur ki jaan ko kese bachate hain aur apni aulad ko kitna is qabil banate hain ke woh kisi aur ke kaam aaye!

Baqol Ashfaq Ahmad: Allah hame asani de aur saath asani taqseem kerne ka sharf bhi de!

3 comments:

bsc said...

Qur'an k alfaz in tamam haltoN per muheet hain Ashfaq ki bhi kaisi batin hoti oain mashallah allah jannat naseeb karay

mystic said...

What a great writer he was!

Shaan said...

best one .....what a point to thing bhaut din is baat ko soach ta raha.....!!!!