Friday, August 26, 2011

Hum Baray Ho Gaye!

Aik hulki phulki magar khubsurat nazam. Shared from Rida's blog. Poet unknow.

Hum baray ho gaye
Muskurahat, tabassum, hansi, qehqahay
Sub kay sub kho gaye
Hum baray ho gaye


Zimma-e-dari musalsal nibhatay rahay
Apnay dukh soch kar roay tanhai main
Mehfilon main magar muskuratay rahay
Kitnay logon se ab mukhtalif ho gaye
Hum baray ho gaye


Aur kitni musafat hai baqi abhi
Zindagi ki hararat hai baqi abhi
Wo jo hum se baray hain salamat rahain
In sabhi ki zarorat hai baqi abhi
Jo thapak kar sulatay thay khud so gaye
Hum baray ho gaye


Khatm honay ko ab zindagani hui
Janay kub aai aur kya jawani hui
Jo haqeqat thi ab wo kahani hui
Manzilain mil gaein humsafar kho gaye
Hum baray ho gaye

3 comments:

Shaan said...

....Rida best bhut sanjida likti hai,
.....even u presented in a good way

mystic said...

I dont think Rida wrote it. I tried to find author but could not find.

bsc said...

Very thought provoking nazm indeed