Thursday, August 04, 2011

Resham Apa

Resham Apa se main koi 20 baras baad mila. Ab to unki umar 65 ke lagh bagh ho chali ho gi. Hamilton (Toronto) main kisi ghar main aaya (maid/nanny) ka kaam kerti hain.

Resham Apa ki kahani na to koi afsana nigar likhe ga - aur na hi kisi ko us se dilchaspi ho gi -  magar dukh ki aik kasak kahin hawaoN maiN terti rahe gi.

Resham apa jawani se hi bari khubsurat thi. Mohallae ke larkoN se tang aa ker un ke amma abba ne 16 baras ki umar main hi biha diya. Shadi ke baad aik baad ooper neeche 5 bachhe paida ho gaye. 1971 ki jang main balwaioN (miscreants) ne unke shohar ko maar diya. Luti lutai Resham apa Karachi aain. RishtedaroN ne thori bohat madad ker ke - landhi ya korangi ke ilaqe main aik chota sa makan kiraye pe kerwa diya. Resham apa ne gharoN main maasi ka kaam kerna shuru ker diya. Bachhe sarkari school jaane lage!

Resham apa jawan thiN, khubsurat thin aur akeli thin. Jis ghar pe woh khana pakati thiN wahan ki maalkan ke beta un pe aashiq ho gaya. Usne Resham apa ko bachhe chor ke bhagne ki targeeb di. Resham apa uske behkawe main aa gain. Lurke ne dono ka passport banwaya, America ka visa lagwaya (was easy in 70s). Aik raat unhoN ne bachhoN ko bhai ke ghar chora aur lurke ke saath airport nikal gain. ......Magar airport paunchi to bachhon ki shaqlaiN saamne aa gain aur woh airport se wapas laut aain. ......

Resham apa ne  maasi ka kaam phir se shuru ker diya aur Zindagi ka phayya ghumta raha. Resham Apa ki tarah un ki 3 betiaN bhi khubsurat thiN. Achhi jagah biha gain. Aik lurka accident main faut ho gaya. Dusre lurke ne MBA ker liya aur Canada aa gaya. Usne apni ma ko sponsor ker ke Canada bula liya magar shaadi ke baad bahu ne saas ko ghar main rakhne se inkaar ker diya. Suna he beta Vancouver chala gaya hai aur ab Maa se la-taaluq hai.

Reshma apa ne masi bun ke 5 bachhe bare kiye, zindagi guzari, apni khawishoN ka gala ghota - magar ab bhi maasi ka kaam ker rahi hain. Main un se mila to mera beta mere saath tha. Use dekh ke unki aankhoN main aansu aa gaye. Shayed unhe apna beta yaad aa gaya.......Us aik aansu ki bund main 65 baras ka dukh dhalak gaya...

Main ne aap se kaha tha na ke: Resham Apa ki kahani na to koi afsana nigar likhe ga - aur na hi kisi ko us se dilchaspi ho gi - magar dukh ki aik kasak kahin hawaoN maiN terti rahe gi.

4 comments:

bsc said...

You are right and the story of son showing "la-ta'alluqi" is again so truthful and unfortunately not uncommon. It reminds me of the story of the man who would feel embarrassed with her poor and blind mother and she had 'given her own good eyes" during childhood to save the eyes of that son (or so the story goes)

mystic-soul said...

Very interesting uncle....

Plz. write that story on your blog if you feel appropriate....

beyond said...

how sad-my in laws are staying with me at the moment and i am not gonna lie and say i love it.but i would never ever wish that my husband should not look after or care for them.they are his parents and their right is definitely more.also i have seen that in my experience,good sons are usually better husbands as well.

mystic said...

Beyond you are right but unfortunately life is not as fortunate for many others.