Monday, June 25, 2012

Events from History

Taarikh ke bare bare waqiyaat sirf 'text books' main likhe 'events' nahi hote - bulke woh poori insaniyat ke liye aik sabaq hote hain.


Ram aur Sita ka 'vanvaas' le lena, sirf taarikh ka aik waqiyah nahi - bulke sabaq hai ke - har insaan ki zindagi main 8-10-12-15 saal ka aik period aesa aata hai jab aesa lagta hai, zindagi ther si gai hai - magar woh 'spiritual development' ka aik 'phase' hota hai.


Essa  ka uske hawarioN ka chor ker chale jana, sirf taarikh ka aik waqiya nahi - bulke istaa'ra (sign) hai - har us insaan ke liye - jise dusre insaanoN se muhabbat kerne ki diq (TB) ho jaati hai - ke bhai ye kaaam akele hi kerna parta hai!


Mohammad ka hudebiya se wapas chale jaana, sirf taarikh ka aik waqiya nahi - bulke - sabaq hai  - zindagi main 'compromises' kerne parte hain. Jab aap ke apne log aap ko 'stupid' samjhte hain - to uska Allah kehta hai - "Nasrum" (victory)

Ye to aqal ki baat hai - aap taarikh se kitna sikhte haiN!

No comments: