Friday, September 21, 2012

Bharam ka Barzakh!

(Tale of one shocking text in middle of hectic work - which let me excuse from everything around me)


Meri Ma 3 baras se maut ke sarahane pari thi. Us ka dam nahi nikal raha tha. Use bus meri fikar khaye jaati thi. Mere baap ko mare to 17 baras ho gaye magar meri Ma darwaze pe nazrain jamaye mujh se kehti thi: 

"Meri baat man le, dekh tera baap mujhe le jane ke liye kab se khara hai. Apne shohar se laraii khatam ker de. Chali ja apne mard ke pass khuda ke liye..."

Jis din main ne apni Ma ki baat mani, usi din meri Ma is jahane faani se kuch ker gai. Meri Ma ki ruh mere aur  mere shohar ki judaii (separation) main atak gai thi. Ma jo theri!

Aur ab mujhe us wade ka bharam nibhane ke liye aakhri saans tak us barzakh main jalna pare ga!  --- I guess, I am left with no choice.


No comments: