3 baras main aurat ka roop yun dhal jata hoga - mujeh andaza na tha!
Nageen se meri mulaqat 3 baras pehle vancouver ke aik coffee shop pe hui thi. Main kisi medical conference main jhak marne Vancouver gaya tha. Sham ke baad wahin downtown main pan pacific hotel ke kinare aik coffee shop pe beth ke koi kitab parhta rehta. ...Nageen usi Coffee shop main kaam kerti thi. .... Bohat khubsurat thi. Us ke husn main aik dehshat thi, jo bohat kam aurton ko naseeb hoti hai!
Nageen ki mukhtasar si kahani thi. Woh Pakistan se thi. Umer koi 37 ya 38 ke qareeb hogi. Umar ke kisi hisse main talaq ho gai. Apne aik bete ke saath ab Vancouver main rehti thi. MardoN ki zaat se bezaar thi. Apni zindagi main magan thi!
Main har sham us se flirt kerta aur woh hasti rehti! Akhri din main ne chalte chalte Nageen ko apna card diya ke kabhi USA aao to zaroor call kerna - Tum dekhna main kachhe dhage main bandha chala aaunga! Usne zor ka qehqaha lagaya aur mera card dustbin main daal diya! (jo shayed usne baad main nikal ker rakh liya hoga).
Kuch dinoN pehle mujhe Nageen ka 'text' aaya ke woh mere 'town' main hai. Kisi qarebi dost ki shadi main aai hui hai. Kehne lagi, aaj tum coffee pilao. Jub main Nageen se milne gaya to mujeh yaqeen nahi aaya ke ye wahi Nageen hai. Uski saari khubsurti kahin gum ho gai thi. Usne kam-as-kam 40 pond wazan barah liya tha. Baalon ki chamak gaib ho chuki thi. Gaalon ki gulabi surkhi khatam ho chuki thi. Muskurahat main aik pas-mardagi thi. AankhoN main lenses ki jagah mote mote 'Ainak wale jin' jese chashme lage the!
Ham kafi der Starbucks pe bethe batain kerte rahe. ...... Nageen ka beta college chala gaya to ghar ke dar-o-deewar nageen ko kaat khane lage. Usne ghar pe cooking chor di. Junk food khane lagi thi. Beta chala gaya to zindagi ka maqsad gaib ho chuka tha. ...
"Lost" ho chuki thi.................Isi bezaari main kuch mardoN se "dating" ker ke aur "lost" ho gai thi!
Kabhi Hijab aurhne ki batain kerti! Kabhi kehti Pakistan chali jaungi. Kabhi kehti Africa main charity mission pe jaungi. Aaj mujh main us se flirt kerne ki jurrat nahi thi.
Zindagi main kabhi kuch nahi hota aur sab kuch ho jaata hai. Dekho to Nageen ki zindagi main uske bete ki parvarish ki aag aur rangoN ka jo aik halka sa parto tha - woh mit gaya to sab kuch khatam sa ho gaya....
Nageen ko na to aaj main ne apna card diya, na dubara milne ka wada kiya! Ghar drive kerte aik udasi thi.
Vancouver ka neela samandar, khubsurat badal, darkhton aur phooloN ki woh lambi qata'r, paharoN pe jami woh baraf...har cheez aik dam se yun be-rang ho jaayegi - Dil ye sab kuch kese maan le !!!!
Ye zindagi saali bari kutti cheez hai!!

7 comments:
i am sorry i dont understand that why would you get so upset about dunya.i thought empty nest syndrome is not very unusual?
btw a silly question.does your wife know about your random flirtations with waitresses;)
Beyond, I am absolutely not mad at 'Duniya'. At least, you got the message on 'empty nest syndrome' but more than that - its about how sometime we dont realize that how our whole life hangs on one anchor till it disappears...
I will pass answer to your second question, due to privacy reasons!
For both Beyond and you
No this is not Duniya. this is "us"
A single parent and woman is dukh hi dukh. Man would only "flirt" (Not blaming or Judging you) which she was painfully aware of it but who will try to help her?. O wonder how her son would take this for she has sacrificed her life for his education etc.
I myself feel these things like Mystic does. I have seen lots of "nageens" in my life.
Yes! Life stinks, further I found this statement from the post most intriguing “Nageen ko na to aaj main ne apna card diya, na dubara milne ka wada kiya! Ghar drive kerte aik udasi thi”
And it occurs to me as a lesson that whenever we see/observe and find a women attractive just fast forward her to say 3 plus years, picture her, I think this will help in maintaining normality in our prospective and expectations. Well I had learned something, today not wasted.
Uncle....I exactly tried to bring the 'dukh' of those single mothers!
Inam - kash mujh main itni aqal hoti mere bhai!!!
oh mystic didnt mean to pry.sorry if you felt like that.my apologies.
To borrow Vonnegut's words, life is indeed no way to treat an animal.
Post a Comment