Saturday, March 09, 2013

Toms and Daisys of life!

"The Great Gatsby" modern American literature ka sab se bara novel samjah jaata hai. Yun to ye aik bohat mukhtasar sa novel hai magar, F. Scott Fitzgerald (author) hame aik baat sikhata hai ke - Duniya main do tarah ke log hote hain - aik Gatsby jese - jin ki sadah lohi unhe is duniya main jine nahi deti - ya phir - Tom and Daisy jese - jo aankh band ker ke aik 'shallow life' guzare chale jaate hain. Unhe pata bhi nahi chalta ke woh insaanoN se khel rahe hain.....

"...They were careless people, Tom and Daisy — they smashed up things and creatures and then retreated back into their money or their vast carelessness, or whatever it was that kept them together, and let other people clean up the mess they had made. . . ."


Ya to koi Hamari zindagioN ka 'Tom and Daisy' ban jaata hai, ya phir hum kisi ki zindagi ke 'Tom and Daisy' ban jaate hain.

Gatsby bhi aik kamal ka character hai, jo saari talkhiaN mita ke, sirf ye kehte huwe aage barh jaata hai.............."Its OK! Old sports.."


You can read novel here

No comments: