Friday, March 29, 2013

Aik Dua jo qabool hui!

Pakistan se America residency kerne aaya tha. Residency milna koi itna asan kaam nahi tha. America aa ker waqt guzarta raha aur main 'shahar shahar gali gali' residency ki talash main phirta raha. ...paise khatam hone lage....doston se udhar lene shuru kiye....din main residency ki tag-o-do kerta aur raat ko aik gas station pe job kerta....Jin dostoN ko residency mili, woh achhe the - mujeh saath rakh liya.

"Residency NRMP Match" aaya - guzar gaya, "Post-Match" bhi guzar gaya....agle saal ke phir 'Match' aa gaya magar residency ki koi offer ban nahi aati thi. Samjh nahi aata tha kiya ho raha hai. Ab tak 3000 programs main apply ker chuka tha. USMLE ke 'scores' bhi 'competative' the..magar aik band gali thi!

"Residency Match" September se shuru hota hai aur March tak chalta hai magar January tak muamla thanda ho jaata hai. December aa chala tha magar yun mehsoos hota tha, is saal bhi residency nahi mile gi!

Main bunyadi tor per atheist na sahi to kam as kam 'agnostic' zaroor tha. Namaz, mazhab, Quran, duaoN se kosoN dur tha!. ...Hamare 'room-mates' main aik sahab bare mazhabi the. Namaz parhte, tape-recorder per hamd-o-naat bhi sunte!

Aik sham ghar aaya to bohat 'depress' tha! lagta tha aansu nikal parain ge! main ne yunhi deewar ke saath bethe bethe tape-recoder on kiya to 'Attaullah Khan EsaKhelvi' ki naat lagi thi "Shahe Madina" (yasrab ke wali saare nabi tere dar ke sawali).....Maalum nahi ye meri frustration thi ya EsaKhelvi ki awaz ka saher tha ya mere andar ki koi awaz thi..mere aansu nikal pare..jun jun naat chalti gai meri hictki bandh gai..Us ke baad sabri qawal ki "Bhar de jholi" shuru hui to laga mera dil uchal ker seene se bahir aa jaaye ga..aur mera kaleja phat jaaye ga!

...Rote rote Allah jaane kab aankh lag gai...

Aankh khuli to khud apni guzri kefiyat pe bohat hairan hua! Apne rone ko apne frustration ka faryadi samjh ke jaane diya.... aur phir usi bhag doR main juth gaya...

4 din baad aik saath mujeh 2 hospitals se Fed-Ex ke envelops mile aur dono main residency ki pre-match offers thi! (On interviews done in previous post-match!!)

Mujeh Makkah ja ker Haj kerne ki to koi ragbat nahi ...magar aik baar Madina jaake 'hare gumbad' ke samne apni topi utar ke, apne sar ko jhuka ker, kehna chahta hun... "Thank You Sir! I owe you a lot!"

6 comments:

Beyond said...

I used to think the same.that i would be happier in Madinah than Makkah.i have been lucky enough to visit both but I have to tell you,there is something about the black house that is very enchanting.you can spent hours just roaming around looking at It and time just flies.try it.mera azmooda hai;)

mystic-soul said...

Chalo..kisi din jaa ke dekh lain ge!

(I am glad, you are still around. Didn't see you for a while)

bsc said...

Just back from all three Harams see my blog about Jerusalem. We are human so our feelings are that way too but you see dainay wala Allah kay siwa awr koi nahin The prophet will tell you the same done thank me thank Allah who knows what was in your heart that made you weep. Nabi needs to be thanked because he is the one who has told us such things. Such was his teaching.

Beyond said...

Nahin mystic bhai,bulawa aana zaroori hai.irada kaam nahin karta:)

mystic said...

Chalo aesa hai to bulawe ka wait kerte hain!

mehnaz said...

Subhanallah, how inspiring is your struggle and how beautiful the moments of dua and its answer !!!Between hope n fear Dua-keeps us going.

Bulawa aajaye dua hai -sab ke liye.

Im listening to Taj-dare Haram (Atif Aslam-coke studio version)since quite sometime now-and it has some of the most amazing verses........ hope you've heard it too....