Saturday, March 23, 2013

Mansoor!

Dosti nibhane ka pehla sabaq main ne 7 baras ki umar main sikha. 

Main dusri jamat main tha! Hamari teacher ka naam tha 'Miss Aziza'. Miss aziza ka chota bhai tha Mansoor jo har saal fail hota tha. Miss Aziza ne use ab ke baras apni hi 'class' main rakh ke meri bench pe saath bitha diya! Main class main first aane wala 'student' tha. Miss Aziza ka khayal tha mere saath beth ke Mansoor ko kuch parhne ka shoq ho jaaye ga!

Hamare school ke peechware aik kachhi basti thi, jahan raat ko 'bazaar' sajta tha! Aik din Mansoor us basti se kisi tarah aik payal le aaya. School shuru hone se pehle woh sab ko payal ke ghunghru baja baja ke mazaq ker raha tha. Miss Aziza aik dam se class main aa gain. Mansoor ne payal desk ke andar daal di, magar Miss Aziza ne woh payal pakar li! Mansoor ne meri taraf dekha! us ki aankhon main apni bahan ka khauf tha! Main ne payal school laane ka ilzam apne sir le liya! Miss Aziza ko yaqeen nahi aaya! unhon ne mujeh bench pe khara ker diya. Main poora din bench pe khara raha magar main ne mansoor ka naam nahi liya.  Bil-aakhir! Miss Aziza ne baat jaane di.  Us din ke baad meri aur Mansoor ki khub dosti ho gai. Mansoor class ka sab se lamba chora larka tha. Sab usse darte the. Main bohat hi chota sa tha magar ab kisi main himmat nahi hoti thi ke mujeh 'bully' kare. Us din mujeh samajh aa gai ke Dostian kese nibahi jaati hain!

Koi 25 baras baad mujeh pata chala Mansoor Toronto ke aik nursing home main 'vegetative state' main para hai. Mansoor ne Canada aake shadi ker li magar biwi se bani nahi. Shayed Mansoor ke liye ye aik 'shock' tha. Us ke liye shayed relationship aur dosti ka matlab aik dusre ko protect kerna tha. Bahr-haal, us ne 'Lake Ontario' main kud ke apni jaan lene ki koshish ki..... Paramedics revived him but he became 'anoxic'......

Main ne bhai se kaha, mera Mansoor se milna bohat zaroori hai...... I went to see him. I wanted to thank him before he dies for the lesson of friendship he taught me. .... 

Magar jab main us ke paas se uth ke jaane laga to...aik lamhe ke liye mujhe khayal aaya ..kash main ne us roz tumhara naam le liya hota to tum jaante ke "dost hota nahi har haat milane wala'.

Allah Mansoor ko Jannat naseeb kare! Kuch dino baad...... he died of pneumonia in Nursing home!

No comments: